Main toh nahin chahti ki aap jao
phir jabardasti kyu bye/alvida kahu?
Aur bolna toh tabhi chaiye jab mann ho ya bolne se dil ko achaa lage,
phir jabardasti kyu bye/alvida kahu?
Tumhe humse Shiqayat yehi rahi hamesha
Ke mera mann kabhi nahin bharega
Gila yehi hain ise humesha meri zidd samaj baithe Tum
Bus thodi jasbaati hain Hum
Par na jaana tumhne woh meri tadap hi
hain jo pyaar karne se nahin thakti
phir jabardasti kyu bye/alvida kahu?
Jane walo ko bye kehne ko milta
Toh shayad woh bhi kehte aabhi maan nahin bhaara
Aur ek taraf humein jeene ko mila hain
Toh na chahte hue bhi bye keh dete hain.
Jana toh sabko hain ek din
Kuch der ther ke jee bhi toh loon,
Mann bhar ke jiye bin,
phir jabardasti kyu bye/alvida kahu?